Tuesday 21 June 2016

Website or Blog Kesay Banate Hai in Urdu

Website-or-Blog-Kesay-Banate-Hai-in-Urdu
Salam dosto! Aaj me apko batane jaraha hun ki internet me blog or website kesay banate hai free me.
Toh dosto chaliye internet me blog banana itna mushkil nahin bohut hi asan hai. Jesay ki apko pata hai internet (web) me bohut sari esi sites hai jin se ap free me blog bana saktay ho. Agar ap blogging me new ho toh apko Blogger.com apke liay sahi hoga. Blogger ek esa platform hai jis me free aur simple trike se website bana saktay ho jo ki bohut hi asan hai new blogger ke liay. Ye apko zarur pata hona chahiye Blogger.com Google hi ka service hai jis me ap bohut sari sites bana saktay ho free me.

Blog Banate Waqat in Batun ka Khas khayal Rakhay:

  1. Sab se pehlay blog ka name likhna na bhulay.
  2. Blog ka URL aisa dalay jo pehlay se wo site internet pe mojud nahin ho.
  3. Blog ka name aisa select karay jo logun ke liay search karne me asani ho or hamisha short rakhay.

Blog Kesay Banate Hai in Urdu:

Sabse pehlay Gmail.com pe chale jaye aur signup kar ke Gmail accout banaye.
Phir Gmail account banane ke bat Blogger.com pe chale jaye, toh apke samne dashboard nazar aye ga.
Is tarah ka.
Website-Kesay-Banate-Hai-in-Urdu

Usi dashboard me hi ek new blog buttom mojud hai us pe click karay.
Is tarah ka hai.
Website-or-Blog-Kesay-Banate-Hai-in-Urdu

Click karne ke bat ek aisa screen shoot apke samne nazar aye ga. Dekhiye.
Blogger-me-blog-kese-banate-hai
Phir uske ander apna banana walay blog ka name dalay aur nichay uska URL dalay.
Aur create button ke upper click karay, ab apka blog ban gaya hai.
Agar apko blog banate waqat kuch masla pesh araha hai ya kuch aur problem hai toh ap hamaray sath zarur share karay comment box me.

Umeed hai ye post apko zarur pasand ayi hogi, agar han to facebook, twitter me zarur share karay apne friends ke sath. Shukuriya!
banner
Previous Post
Next Post
Hi guys! Me Shakeel Nago, Gilgit Pakistan ka hun. Or mene ye site logun ke madad karne ke liay banaya hai. Toh ap internet and computer ke hawalay se kuch b information chahiye toh mujh se zarur contact karay. Shukuriya!

5 comments: